Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya

Shaghil Qadri

kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya

Shaghil Qadri

MORE BYShaghil Qadri

    kab mujhe tāla-e-nā-sāz pe ronā aayā

    dil-e-nādāñ tag-o-tāz pe ronā aayā

    us pursish pe jo dekhā mutabassim mujh ko

    rāz-dāñ ko mire andāz pe ronā aayā

    aaj sayyād ko bhī apne giraftāroñ

    jaane kyuuñ koshish-e-parvāz pe ronā aayā

    aa gayā sāmne anjām taḌap uTThā dil

    apne afsāne ke āġhāz pe ronā aayā

    munhasir ashk do buuñd pe thā jis bharam

    mujh ko ai 'qādrī' us raaz pe ronā aayā

    kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya

    dil-e-nadan ki tag-o-taz pe rona aaya

    us ki pursish pe jo dekha mutabassim mujh ko

    raaz-dan ko mere andaz pe rona aaya

    aaj sayyaad ko bhi apne giraftaron ki

    jaane kyun koshish-e-parwaz pe rona aaya

    aa gaya samne anjam taDap uTTha dil

    apne afsane ke aaghaz pe rona aaya

    munhasir ashk ki do bund pe tha jis ka bharam

    mujh ko ai 'qadri' us raaz pe rona aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now