kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai
kab sabā sū-e-asīrān-e-qafas aatī hai
kab ye un tak ḳhabar-e-āmad-e-gul laatī hai
duḳhtar-e-raz kī huuñ sohbat kā mubāshir kyūñkar
abhī kam-sin hai bahut mard se sharmātī hai
kyūñki farba na nazar aave tirī zulf kī laT
joñk sī ye to mirā ḳhuun hī pī jaatī hai
jism ne rūh-e-ravāñ se ye kahā turbat meñ
ab mujhe chhoḌ ke tanhā tū kahāñ jaatī hai
kyā magar us ne sunā shuhra-e-husn us gul kā
āñkheñ kohhāl se nargis bhī jo banvātī hai
laakh ham sher kaheñ laakh ibārat likkheñ
baat vo hai jo tire dil meñ jagah paatī hai
hove kis tarah dilerāna vo āshiq se do-chār
apne bhī aks se jo aañkh ki sharmātī hai
'mus.hafī' ko nahīñ kuchh vasf-e-izāfī se to kaam
sher kahnā zi-bas us kā sifat-e-zātī hai
kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai
kab ye un tak KHabar-e-amad-e-gul lati hai
duKHtar-e-raz ki hun sohbat ka mubashir kyunkar
abhi kam-sin hai bahut mard se sharmati hai
kyunki farba na nazar aawe teri zulf ki laT
jonk si ye to mera KHun hi pi jati hai
jism ne ruh-e-rawan se ye kaha turbat mein
ab mujhe chhoD ke tanha tu kahan jati hai
kya magar us ne suna shuhra-e-husn us gul ka
aankhen kohhaal se nargis bhi jo banwati hai
lakh hum sher kahen lakh ibarat likkhen
baat wo hai jo tere dil mein jagah pati hai
howe kis tarah dilerana wo aashiq se do-chaar
apne bhi aks se jo aankh ki sharmati hai
'mushafi' ko nahin kuchh wasf-e-izafi se to kaam
sher kahna zi-bas us ka sifat-e-zati hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 312)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.