Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab saman dekhenge hum zaKHmon ke bhar jaane ka

Shahryar

kab saman dekhenge hum zaKHmon ke bhar jaane ka

Shahryar

MORE BYShahryar

    kab samāñ dekheñge ham zaḳhmoñ ke bhar jaane

    naam letā nahīñ vaqt guzar jaane

    jaane vo kaun hai jo dāman-e-dil khīñchtā hai

    jab kabhī ham ne irāda kiyā mar jaane

    dast-bardār abhī terī talab se ho jaa.eñ

    koī rasta bhī to ho lauT ke ghar jaane

    laatā ham tak bhī koī niiñd se bojhal rāteñ

    aatā ham ko bhī maza ḳhvāb meñ Dar jaane

    sochte rahe pūchheñge tirī āñkhoñ se

    kis se sīkhā hai hunar dil meñ utar jaane

    kab saman dekhenge hum zaKHmon ke bhar jaane ka

    nam leta hi nahin waqt guzar jaane ka

    jaane wo kaun hai jo daman-e-dil khinchta hai

    jab kabhi hum ne irada kiya mar jaane ka

    dast-bardar abhi teri talab se ho jaen

    koi rasta bhi to ho lauT ke ghar jaane ka

    lata hum tak bhi koi nind se bojhal raaten

    aata hum ko bhi maza KHwab mein Dar jaane ka

    sochte hi rahe puchhenge teri aankhon se

    kis se sikha hai hunar dil mein utar jaane ka

    Source:

    sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 359)

    • Author: shaharyar
      • Edition: 2013
      • Publisher: educational book house
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now