Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main

Shafiq Jaunpuri

kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main

Shafiq Jaunpuri

MORE BYShafiq Jaunpuri

    kab se is duniyā ko sargarm-e-safar paatā huuñ maiñ

    phir bhī har manzil ko pahlī rahguzar paatā huuñ maiñ

    murshid-e-mai-ḳhāne ke qadmoñ pe sar paatā huuñ maiñ

    ab dimāġh-e-mai-parastī arsh par paatā huuñ maiñ

    har taraf saaqī tirā faiz-e-nazar paatā huuñ maiñ

    ḳhānqāhoñ meñ bhī mastī asar paatā huuñ maiñ

    dam-ba-dam us ruḳh pe ik husn-e-digar paatā huuñ maiñ

    har nigāh-e-shauq ko pahlī nazar paatā huuñ maiñ

    sajda us hai jabīñ us hai qismat us hai

    jis peshānī pe un ḳhāk-e-dar paatā huuñ maiñ

    allāh allāh sākinān-e-kū-e-jānāñ vaqār

    har gadā-e-āstāñ ko tājvar paatā huuñ maiñ

    arsh ko hairat haram ko vajd nāzāñ bandagī

    haa.e vo aalam ki jab sajde meñ sar paatā huuñ maiñ

    le ga.e kis ke ruḳh o gesū bahār-e-roz-o-shab

    muddatoñ se ghar ko be-shām-o-sahar paatā huuñ maiñ

    duur hotī hai rah-e-ġhurbat meñ kosoñ thakan

    jab kisī manzil pe koī ham-safar paatā huuñ maiñ

    ahl-e-mahfil hoñge kyā ahl-e-basīrat ai 'shafīq'

    mīr-e-mahfil ko be-fikr-o-nazar paatā huuñ maiñ

    kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main

    phir bhi har manzil ko pahli rahguzar pata hun main

    murshid-e-mai-KHane ke qadmon pe sar pata hun main

    ab dimagh-e-mai-parasti arsh par pata hun main

    har taraf saqi tera faiz-e-nazar pata hun main

    KHanqahon mein bhi masti ka asar pata hun main

    dam-ba-dam us ruKH pe ek husn-e-digar pata hun main

    har nigah-e-shauq ko pahli nazar pata hun main

    sajda us ka hai jabin us ki hai qismat us ki hai

    jis ki peshani pe un ki KHak-e-dar pata hun main

    allah allah sakinan-e-ku-e-jaanan ka waqar

    har gada-e-astan ko tajwar pata hun main

    arsh ko hairat haram ko wajd nazan bandagi

    hae wo aalam ki jab sajde mein sar pata hun main

    le gae kis ke ruKH o gesu bahaar-e-roz-o-shab

    muddaton se ghar ko be-sham-o-sahar pata hun main

    dur hoti hai rah-e-ghurbat mein koson ki thakan

    jab kisi manzil pe koi ham-safar pata hun main

    ahl-e-mahfil honge kya ahl-e-basirat ai 'shafiq'

    mir-e-mahfil hi ko be-fikr-o-nazar pata hun main

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now