Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab shauq mera jazbe se bahar na hua tha

Shakir Khaliq

kab shauq mera jazbe se bahar na hua tha

Shakir Khaliq

MORE BYShakir Khaliq

    kab shauq mirā jazbe se bāhar na huā thā

    thā kaun qatra jo samundar na huā thā

    kyā yaad tirī dil ko mire kar ga.ī tārīk

    ik gosha bhī to is munavvar na huā thā

    kis tarah koī ahd-e-vafā mujh se kare aaj

    jab roz-e-azal meñ ye muqaddar na huā thā

    dīdār hasrat huī vaj.h-e-ta.assuf

    qismat meñ mirī harf-e-mukarrar na huā thā

    āñkhoñ meñ jagah us ko milī vaah re taqdīr

    vo qatra jo ḳhush-baḳhtī se gauhar na huā thā

    ġharqāb huī kashti-e-hastī lab-e-sāhil

    shākir' to abhī us shanāvar na huā thā

    kab shauq mera jazbe se bahar na hua tha

    tha kaun sa qatra jo samundar na hua tha

    kya yaad teri dil ko mere kar gai tarik

    ek gosha bhi to is ka munawwar na hua tha

    kis tarah koi ahd-e-wafa mujh se kare aaj

    jab roz-e-azal mein ye muqaddar na hua tha

    didar ki hasrat hi hui wajh-e-tassuf

    qismat mein meri harf-e-mukarrar na hua tha

    aankhon mein jagah us ko mili wah re taqdir

    wo qatra jo KHush-baKHti se gauhar na hua tha

    gharqab hui kashti-e-hasti lab-e-sahil

    shakir' to abhi us ka shanawar na hua tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now