Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab tak dimagh-e-husn ki naKHwat na jaegi

Jauhar Abbas

kab tak dimagh-e-husn ki naKHwat na jaegi

Jauhar Abbas

MORE BYJauhar Abbas

    kab tak dimāġh-e-husn naḳhvat na jā.egī

    aise to rā.egāñ ye aqīdat na jā.egī

    kīkar shāḳh ne ye likhā farq-e-qais par

    bartī tire junūñ se ri.āyat na jā.egī

    mahjūb khaḌā huuñ hathelī pe dil liye

    is rah se ab kabhī ye ziyārat na jā.egī

    dafnā.eñ ham ko dost kitāb-o-qalam samet

    zer-e-lahad bhī ziist aadat na jā.egī

    maskan kiye hue hai kisī duā yahāñ

    āñkhoñ se jiite to ye hairat na jā.egī

    'jauhar' gale lago ki milāo hazār haath

    likh lo dil-e-shaqī se kudūrat na jā.egī

    kab tak dimagh-e-husn ki naKHwat na jaegi

    aise to raegan ye aqidat na jaegi

    kikar ki shaKH ne ye likha farq-e-qais par

    barti tere junun se riayat na jaegi

    mahjub sa khaDa hun hatheli pe dil liye

    is rah se ab kabhi ye ziyarat na jaegi

    dafnaen hum ko dost kitab-o-qalam samet

    zer-e-lahad bhi zist ki aadat na jaegi

    maskan kiye hue hai kisi ki dua yahan

    aankhon se jite ji to ye hairat na jaegi

    'jauhar' gale lago ki milao hazar hath

    likh lo dil-e-shaqi se kudurat na jaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now