Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab talak is KHamushi ki tarjumani ho

Euphonic Amit

kab talak is KHamushi ki tarjumani ho

Euphonic Amit

MORE BYEuphonic Amit

    kab talak is ḳhāmushī tarjumānī ho

    'ishq iz.hār ab to muñh-zabānī ho

    mehmāñ dil ke bano to mehrbānī ho

    kab talak is dard-e-dil mezbānī ho

    kis ke ashkoñ ne kiyā khārā samundar ko

    ab 'atā sāgar ko bhī kuchh mīThā paanī ho

    lutf aatā nahīñ auroñ ko paḌhne meñ

    darj pannoñ meñ hamārī bhī kahānī ho

    peḌ kaT ke bhī kisī ghar banātā hai

    kaam aa.e sab ke aisī zindagānī ho

    ḳhāmushī ko ham vahāñ apnāte haiñ aksar

    bolnā apnā jahāñ bhī be-ma'ānī ho

    kas ke bāñhoñ meñ use baiThā huā hai vo

    ziist jaise ye 'amit' jāvedānī ho

    kab talak is KHamushi ki tarjumani ho

    'ishq ka izhaar ab to munh-zabani ho

    mehman dil ke bano to mehrbani ho

    kab talak is dard-e-dil ki mezbani ho

    kis ke ashkon ne kiya khaara samundar ko

    ab 'ata sagar ko bhi kuchh miTha pani ho

    lutf aata hi nahin auron ko paDhne mein

    darj pannon mein hamari bhi kahani ho

    peD kaT ke bhi kisi ka ghar banata hai

    kaam aae sab ke aisi zindagani ho

    KHamushi ko hum wahan apnate hain aksar

    bolna apna jahan bhi be-ma'ani ho

    kas ke banhon mein use baiTha hua hai wo

    zist jaise ye 'amit' ki jawedani ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now