Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

Zeb Ghauri

kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    kab talak ye shola-e-be-rañg manzar dekhiye

    kyuuñ na harf-e-sabz likh kar zamīñ par dekhiye

    phir kahīñ sahrā-e-jāñ meñ khā.iye taaza fareb

    phir sarāb-e-chashma o aks-e-sanobar dekhiye

    leT rahiye band kar ke āñkheñ jaltī dhuup meñ

    aur phir sabz o siyah sūraj manzar dekhiye

    phir barahna shāḳhoñ ke saa.e meñ dam liije kahīñ

    reñgte sāñpoñ ko apne tan ke uupar dekhiye

    daad diije shaukat-e-ta.amīr-e-arsh-o-farsh

    aur phir buniyād-e-hast-o-būd Dhā kar dekhiye

    chāñdnī rātoñ meñ ek aaseb ban kar ghūmiye

    ghar dīvāroñ par apnā saaya be-sar dekhiye

    hai jigar kis jo is teġh-e-hunar daad de

    apne hāthoñ zaḳhm khā kar apnā jauhar dekhiye

    be-dilī tah meñ ġhota maar kar baiThe haiñ ham

    'zeb' phir paanī pe kab ubhregā patthar dekhiye

    kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

    kyun na harf-e-sabz hi likh kar zamin par dekhiye

    phir kahin sahra-e-jaan mein khaiye taza fareb

    phir sarab-e-chashma o aks-e-sanobar dekhiye

    leT rahiye band kar ke aankhen jalti dhup mein

    aur phir sabz o siyah suraj ka manzar dekhiye

    phir barahna shaKHon ke sae mein dam lije kahin

    rengte sanpon ko apne tan ke upar dekhiye

    dad dije shaukat-e-tamir-e-arsh-o-farsh ki

    aur phir buniyaad-e-hast-o-bud Dha kar dekhiye

    chandni raaton mein ek aaseb ban kar ghumiye

    ghar ki diwaron par apna saya be-sar dekhiye

    hai jigar kis ka jo is tegh-e-hunar ki dad de

    apne hathon zaKHm kha kar apna jauhar dekhiye

    be-dili ki tah mein ghota mar kar baiThe hain hum

    'zeb' phir pani pe kab ubhrega patthar dekhiye

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye Nomaan Shauque

    Source:

    zartaab (Pg. 105)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now