kab use dekhte nigah bhari
kab use dekhte nigāh bharī
jā chukā vo to dil ne aah bharī
kaisī nekī kahāñ kā kār-e-savāb
maiñ ne ik qīmat-e-gunāh bharī
bas yahī hāsil-e-safar Thahrā
apne dāman meñ gard-e-rāh bharī
āñkheñ maltā vo māhtāb uThā
jab sitāroñ se ḳhvāb-gāh bharī
jast bhar kā vo fāsla hī na thā
aap ne jast ḳhvā-maḳhvāh bharī
kyā masāfat kā lutf aa.egā
rāhgīroñ se hai ye raah bharī
dil jahannam se kam nahīñ 'ġhā.er'
dil meñ duniyā hai be-panāh bharī
kab use dekhte nigah bhari
ja chuka wo to dil ne aah bhari
kaisi neki kahan ka kar-e-sawab
main ne ek qimat-e-gunah bhari
bas yahi hasil-e-safar Thahra
apne daman mein gard-e-rah bhari
aankhen malta wo mahtab uTha
jab sitaron se KHwab-gah bhari
jast bhar ka wo fasla hi na tha
aap ne jast KHwa-maKHwah bhari
kya masafat ka lutf aaega
rahgiron se hai ye rah bhari
dil jahannam se kam nahin 'ghaer'
dil mein duniya hai be-panah bhari
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 82)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.