Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi angDai le kar jab samundar jag uThta hai

Arshad Kamal

kabhi angDai le kar jab samundar jag uThta hai

Arshad Kamal

MORE BYArshad Kamal

    kabhī añgḌā.ī le kar jab samundar jaag uThtā hai

    mire andar purānā ik shanāvar jaag uThtā hai

    nasheman-gīr haiñ taa.ir bhalā samjheñ to kyā samjheñ

    vo kaifiyat ki jab shāhīñ shahpar jaag uThtā hai

    maiñ jab bhī khīñchtā huuñ ek naqsha roz-e-raushan

    na jaane kaise is meñ shab manzar jaag uThtā hai

    zamāna gāmzan hai phir unhī hālāt jānib

    biphar kar jab abābīloñ lashkar jaag uThtā hai

    mire ehsās rag se ulajh paḌtā hai jo lamha

    usī lamhe taḌap kar ik suḳhan-var jaag uThtā hai

    vo taare jo chamak rakhte nahīñ kuchh roz-e-raushan meñ

    shab-e-tārīk meñ un muqaddar jaag uThtā hai

    ye maanā sail-e-ashk-e-ġham nahīñ kuchh kam magar 'arshad'

    zarā utrā nahīñ dariyā ki banjar jaag uThtā hai

    kabhi angDai le kar jab samundar jag uThta hai

    mere andar purana ek shanawar jag uThta hai

    nasheman-gir hain tair bhala samjhen to kya samjhen

    wo kaifiyat ki jab shahin ka shahpar jag uThta hai

    main jab bhi khinchta hun ek naqsha roz-e-raushan ka

    na jaane kaise is mein shab ka manzar jag uThta hai

    zamana gamzan hai phir unhi haalat ki jaanib

    biphar kar jab ababilon ka lashkar jag uThta hai

    mere ehsas ki rag se ulajh paDta hai jo lamha

    usi lamhe taDap kar ek suKHan-war jag uThta hai

    wo tare jo chamak rakhte nahin kuchh roz-e-raushan mein

    shab-e-tarik mein un ka muqaddar jag uThta hai

    ye mana sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'

    zara utra nahin dariya ki banjar jag uThta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now