Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi bhul kar bhi na baat ki mujhe dil se aisa bhula diya

Shabab

kabhi bhul kar bhi na baat ki mujhe dil se aisa bhula diya

Shabab

MORE BYShabab

    kabhī bhuul kar bhī na baat mujhe dil se aisā bhulā diyā

    kahūñ kyā maiñ terī sharārteñ ki jigar ko ne jalā diyā

    vo banāo karne haiñ baiThte to sabhoñ se lete haiñ ḳhidmateñ

    kabhī mal missī raqīb ne kabhī surma maiñ ne lagā diyā

    ġham-e-ishq sunī dāstāñ to kaleja thaam ke yaar ne

    ye kahā ki qissa ajiib thā mire dil ko us ne kuḌhā diyā

    mire ḳhat ko us ne na jab paḌhā mire nāma-bar ko bhī ġham huā

    kahā muddatoñ jo aasrā thā vo aaj tum ne miTā diyā

    kabhī pūchhā maiñ ne bahisht ko ki batāo to vo hai kis taraf

    to 'shabāb' kūcha-e-yār mujhe zāhidoñ ne patā diyā

    kabhi bhul kar bhi na baat ki mujhe dil se aisa bhula diya

    kahun kya main teri shararten ki jigar ko tu ne jala diya

    wo banao karne hain baiThte to sabhon se lete hain KHidmaten

    kabhi mal di missi raqib ne kabhi surma main ne laga diya

    gham-e-ishq ki suni dastan to kaleja tham ke yar ne

    ye kaha ki qissa ajib tha mere dil ko us ne kuDha diya

    mere KHat ko us ne na jab paDha mere nama-bar ko bhi gham hua

    kaha muddaton ka jo aasra tha wo aaj tum ne miTa diya

    kabhi puchha main ne bahisht ko ki batao to wo hai kis taraf

    to 'shabab' kucha-e-yar ka mujhe zahidon ne pata diya

    Source:

    Deewan-e-Shabab (Pg. 6)

    • Author: Bandi Hussain Shabab
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now