Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi Darae kabhi KHud hi Darne lagti hai

G. R. Vashishth

kabhi Darae kabhi KHud hi Darne lagti hai

G. R. Vashishth

MORE BYG. R. Vashishth

    kabhī Darā.e kabhī ḳhud Darne lagtī hai

    hayāt harakat-e-atfāl karne lagtī hai

    maiñ tañg aa ke jahāñ se jo dekhtā huuñ tujhe

    merī nazar thakāvaT utarne lagtī hai

    merī ragoñ meñ lahū shor ban ke dauḌtā hai

    mere laboñ pe ḳhamoshī Thaharne lagtī hai

    maiñ apne kamre meñ cigarette piitā rahtā huuñ

    dhuāñ dhuāñ terī sūrat ubharne lagtī hai

    vo jis galī se guzartā hai us galī ḳhabar

    tamām galiyoñ se ho kar guzar ne lagtī hai

    kisī ruuh ko dil se lagā.e rahtā huuñ

    kisī ke jism chāhat mukarne lagtī hai

    kabhi Darae kabhi KHud hi Darne lagti hai

    hayat harakat-e-atfal karne lagti hai

    main tang aa ke jahan se jo dekhta hun tujhe

    meri nazar ki thakawaT utarne lagti hai

    meri ragon mein lahu shor ban ke dauDta hai

    mere labon pe KHamoshi Thaharne lagti hai

    main apne kamre mein cigarette pita rahta hun

    dhuan dhuan teri surat ubharne lagti hai

    wo jis gali se guzarta hai us gali ki KHabar

    tamam galiyon se ho kar guzar ne lagti hai

    kisi ki ruh ko dil se lagae rahta hun

    kisi ke jism ki chahat mukarne lagti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now