kabhi dusron se Dara diya kabhi apne aap se Dar gaya
kabhī dūsroñ se Darā diyā kabhī apne aap se Dar gayā
mirā saaya saath rahā mire maiñ jahāñ gayā maiñ jidhar gayā
mire dil meñ kitne sarāb haiñ mirī ruuh kā jo azaab hai
unheñ dekh kar maiñ laraz uThā unheñ soch kar maiñ bikhar gayā
mirī ziist kī jo asaas hai mirī saañs mahz qayās hai
mujhe phir bhī jiine kī aas hai maiñ ki Duub Duub ubhar gayā
na maiñ phuul huuñ na maiñ ḳhaar huuñ na nasha huuñ maiñ na ḳhumār huuñ
maiñ to ek musht-e-ġhubār huuñ jo havā chalī to bikhar gayā
mirā naam yuuñ to hai zindagī mujhe maut se milī raushnī
mirī ramz ko vahī pā sakā jo bhī ḳhud se bach ke guzar gayā
na maiñ dhuup huuñ na maiñ daaġh huuñ na mazār kā maiñ charāġh huuñ
maiñ to zindagī kā surāġh huuñ jise tū ḳhalāoñ meñ bhar gayā
maiñ ḳhabar huuñ koī ki ḳhvāb huuñ tire hone kā ki javāb huuñ
maiñ vo dasht dasht sarāb huuñ jo janam ke saath hī mar gayā
kabhi dusron se Dara diya kabhi apne aap se Dar gaya
mera saya sath raha mere main jahan gaya main jidhar gaya
mere dil mein kitne sarab hain meri ruh ka jo azab hai
unhen dekh kar main laraz uTha unhen soch kar main bikhar gaya
meri zist ki jo asas hai meri sans mahz qayas hai
mujhe phir bhi jine ki aas hai main ki Dub Dub ubhar gaya
na main phul hun na main KHar hun na nasha hun main na KHumar hun
main to ek musht-e-ghubar hun jo hawa chali to bikhar gaya
mera nam yun to hai zindagi mujhe maut se mili raushni
meri ramz ko wahi pa saka jo bhi KHud se bach ke guzar gaya
na main dhup hun na main dagh hun na mazar ka main charagh hun
main to zindagi ka suragh hun jise tu KHalaon mein bhar gaya
main KHabar hun koi ki KHwab hun tere hone ka ki jawab hun
main wo dasht dasht sarab hun jo janam ke sath hi mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.