kabhi gham kabhi shadmani ka shikwa
kabhī ġham kabhī shādmānī kā shikva
sabhī ke laboñ par kahānī kā shikva
safar hī se bezār thī ye tabī'at
bhalā kyā kareñ nā-tavānī kā shikva
kināre pe ham ret se bad-gumāñ the
samundar meñ hai gahre paanī kā shikva
sharāroñ kī tahrīr de kar hameñ ab
vo karte haiñ sho'la-bayānī kā shikva
nahīñ zeb sahrā-navardoñ ko hargiz
barahna-sarī lā-makānī kā shikva
kabhi gham kabhi shadmani ka shikwa
sabhi ke labon par kahani ka shikwa
safar hi se bezar thi ye tabi'at
bhala kya karen na-tawani ka shikwa
kinare pe hum ret se bad-guman the
samundar mein hai gahre pani ka shikwa
shararon ki tahrir de kar hamein ab
wo karte hain sho'la-bayani ka shikwa
nahin zeb sahra-nawardon ko hargiz
barahna-sari la-makani ka shikwa
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 89)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.