Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi hai gul kabhi shamshir sa hai

Qamar Siddiqi

kabhi hai gul kabhi shamshir sa hai

Qamar Siddiqi

MORE BYQamar Siddiqi

    kabhī hai gul kabhī shamshīr hai

    vo goyā vādī-e-kashmīr hai

    ravābit sab hisār-e-hijr meñ haiñ

    ta.alluq TūTtī zanjīr hai

    burā ḳhvāb dekhā thā jo shab meñ

    ye din us ḳhvāb ta.abīr hai

    haiñ gardish meñ lahū saa.at manāzir

    zamāna aañkh meñ tasvīr hai

    'qamar' girdāb tak aao to jaano

    jo muzhda lahroñ pe tahrīr hai

    kabhi hai gul kabhi shamshir sa hai

    wo goya wadi-e-kashmir sa hai

    rawabit sab hisar-e-hijr mein hain

    talluq TuTti zanjir sa hai

    bura sa KHwab dekha tha jo shab mein

    ye din us KHwab ki tabir sa hai

    hain gardish mein lahu saat manazir

    zamana aankh mein taswir sa hai

    'qamar' girdab tak aao to jaano

    jo muzhda lahron pe tahrir sa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now