Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi hansi kabhi aansu kabhi ghubar hun main

Shahid Jameel

kabhi hansi kabhi aansu kabhi ghubar hun main

Shahid Jameel

MORE BYShahid Jameel

    kabhī hañsī kabhī aañsū kabhī ġhubār huuñ maiñ

    mujhe khañgālo ki jazboñ reg-zār huuñ maiñ

    badan hai kāñch lekin muhaqqiqo Thahro

    sañbhal ke haath lagānā ki sangsār huuñ maiñ

    har iltijā mujhe Thukrā ke lauT jaatī hai

    ḳhalā meñ koī muallaq kohsār huuñ maiñ

    maiñ sab ke paas huuñ par koī mere paas nahīñ

    kisī tamāshe circus ishtihār huuñ maiñ

    simaT gayā huuñ to achchhā hai Thos sūrat

    mujhe na chheḌo ki taḳhrīb ġhubār huuñ maiñ

    kabhi hansi kabhi aansu kabhi ghubar hun main

    mujhe khangalo ki jazbon ka reg-zar hun main

    badan hai kanch ka lekin muhaqqiqo Thahro

    sanbhal ke hath lagana ki sangsar hun main

    har iltija mujhe Thukra ke lauT jati hai

    KHala mein koi muallaq sa kohsar hun main

    main sab ke pas hun par koi mere pas nahin

    kisi tamashe ya circus ka ishtihaar hun main

    simaT gaya hun to achchha hai Thos ki surat

    mujhe na chheDo ki taKHrib ka ghubar hun main

    Source:

    Khwabon Ke Hamsaye (Pg. 165)

    • Author: Shahid Jameel
      • Publisher: Maktaba Ghausia, Bihar
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now