Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte

Farhat Ehsas

kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    kabhī hañste nahīñ kabhī rote nahīñ kabhī koī gunāh nahīñ karte

    hameñ sub.h kahāñ se mile ki kabhī koī raat siyāh nahīñ karte

    hāthoñ se uThāte haiñ jo makāñ āñkhoñ se girāte rahte haiñ

    sahrāoñ ke rahne vaale ham shahroñ se nibāh nahīñ karte

    bekār miTTī ik Dher bane baiThe rahte haiñ ham

    kabhī ḳhaak uḌāte nahīñ apnī kabhī dasht raah nahīñ karte

    meñ ho to dar par rahte haiñ varna āvāra phirte haiñ

    ham ishq us se karte haiñ magar koī bā-tanḳhvāh nahīñ karte

    ye terā merā jhagḌā hai duniyā ko biich meñ kyuuñ Dāleñ

    ghar ke andar bātoñ par ġhairoñ ko gavāh nahīñ karte

    kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte

    hamein subh kahan se mile ki kabhi koi raat siyah nahin karte

    hathon se uThate hain jo makan aankhon se giraate rahte hain

    sahraon ke rahne wale hum shahron se nibah nahin karte

    bekar si miTTi ka ek Dher bane baiThe rahte hain hum

    kabhi KHak uDate nahin apni kabhi dasht ki rah nahin karte

    ji mein ho to dar par rahte hain warna aawara phirte hain

    hum ishq us se karte hain magar koi ba-tanKHwah nahin karte

    ye tera mera jhagDa hai duniya ko bich mein kyun Dalen

    ghar ke andar ki baaton par ghairon ko gawah nahin karte

    RECITATIONS

    Farhat Ehsas

    Farhat Ehsas,

    Farhat Ehsas

    kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte Farhat Ehsas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now