Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi hasin koi hadisa hua hi nahin

Sandeep Gupte

kabhi hasin koi hadisa hua hi nahin

Sandeep Gupte

MORE BYSandeep Gupte

    kabhī hasīn koī hādisa huā nahīñ

    tamām umr kaTī vo mirā huā nahīñ

    sukūn kyā hai ḳhushī kyā hai chain kyā shai hai

    maiñ kyā batā.ūñ mujhe tajraba huā nahīñ

    jise yaqīn thā vo āsmāñ ko chhū aayā

    jise ġhurūr thā vo to baḌā huā nahīñ

    na jaane kaun us meñ kamī rahī hogī

    koī bhī shaḳhs kabhī devtā huā nahīñ

    kahā thā maiñ ne ki ik roz aap badleñge

    ye aur baat ki merā kahā huā nahīñ

    kabhi hasin koi hadisa hua hi nahin

    tamam umr kaTi wo mera hua hi nahin

    sukun kya hai KHushi kya hai chain kya shai hai

    main kya bataun mujhe tajraba hua hi nahin

    jise yaqin tha wo aasman ko chhu aaya

    jise ghurur tha wo to baDa hua hi nahin

    na jaane kaun si us mein kami rahi hogi

    koi bhi shaKHs kabhi dewta hua hi nahin

    kaha tha main ne ki ek roz aap badlenge

    ye aur baat ki mera kaha hua hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now