Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya

Jyoti Azad Khatri

kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya

Jyoti Azad Khatri

MORE BYJyoti Azad Khatri

    kabhī jalāyā gayā to kabhī bujhāyā gayā

    tamām-umr charāġhoñ ko āzmāyā gayā

    abhī vo chāñd falak se utar ke aa.egā

    ye ek ḳhvāb hameñ bārhā dikhāyā gayā

    kiyā hai pyaas shikva jo āsmāñ se to

    sulagtī ret manzar hameñ dikhāyā gayā

    to raaz khulne lage saare ḳhushbuoñ tarah

    havā ko jab bhī yahāñ rāz-dāñ banāyā gayā

    bujhe bujhe se the ashkoñ ke jugnū kal shab

    tumhāre zikr se āñkhoñ ko jagmagāyā gayā

    vahīñ pe raqs bahut vahshatoñ thā 'jyotī'

    mohabbatoñ jazīra jise batāyā gayā

    kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya

    tamam-umr charaghon ko aazmaya gaya

    abhi wo chand falak se utar ke aaega

    ye ek KHwab hamein barha dikhaya gaya

    kiya hai pyas ka shikwa jo aasman se to

    sulagti ret ka manzar hamein dikhaya gaya

    to raaz khulne lage sare KHushbuon ki tarah

    hawa ko jab bhi yahan raaz-dan banaya gaya

    bujhe bujhe se the ashkon ke jugnu kal ki shab

    tumhaare zikr se aankhon ko jagmagaya gaya

    wahin pe raqs bahut wahshaton ka tha 'jyoti'

    mohabbaton ka jazira jise bataya gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now