aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai

Ain Irfan

kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai

Ain Irfan

MORE BYAin Irfan

    kabhī jo mil na sakī us ḳhushī hāsil hai

    ye dard to mirī zindagī hāsil hai

    maiñ apne aap se pīchhā nahīñ chhuḌā paayā

    mirā vajūd mirī bebasī hāsil hai

    ye tīrgī bhī kisī raushnī se niklī hai

    ye raushnī bhī kisī tīrgī hāsil hai

    hazār kāvisheñ kiiñ par nahīñ samajh paayā

    koī batā.e to kyā aadmī hāsil hai

    mirā vajūd jo patthar dikhā.ī detā hai

    tamām umr shīshagarī hāsil hai

    ma.āshre meñ jo mash.hūr ho gayā 'irfāñ'

    vo ek sher tirī shā.irī hāsil hai

    kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai

    ye dard hi to meri zindagi ka hasil hai

    main apne aap se pichha nahin chhuDa paya

    mera wajud meri bebasi ka hasil hai

    ye tirgi bhi kisi raushni se nikli hai

    ye raushni bhi kisi tirgi ka hasil hai

    hazar kawishen kin par nahin samajh paya

    koi batae to kya aadmi ka hasil hai

    mera wajud jo patthar dikhai deta hai

    tamam umr ki shishagari ka hasil hai

    maashre mein jo mashhur ho gaya 'irfan'

    wo ek sher teri shairi ka hasil hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now