Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai

Uvais Girach

kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai

Uvais Girach

MORE BYUvais Girach

    kabhī jo vīrāniyoñ meñ dekhā ghanā ik bhī shajar nahīñ hai

    shajar bhī aise haiñ dekh rakkhe ki jis meñ koī samar nahīñ hai

    sabhī nazāre mirī nazar meñ ġhubār ban kar simaT ga.e haiñ

    tujhe na aayā nazar to shāyad nazar meñ terī asar nahīñ hai

    ajiib hogī havā sūrat ġhazab hogī havā rangat

    tujhe bhī is pata nahīñ hai mujhe bhī is ḳhabar nahīñ hai

    vo āsmāñ buland manzar ye farsh vus.atoñ ko dekho

    yahāñ to sab kuchh bashar bashar hai vahāñ pe koī bashar nahīñ hai

    ye merī āñkheñ haiñ in meñ dekho samundaroñ ravāniyāñ haiñ

    dekh saktā inheñ musalsal junūn tujh meñ magar nahīñ hai

    falak ke uupar hai chāñd raushan zamīn par āftāb raushan

    falak ke upar shajar nahīñ hai zamīñ ke uupar qamar nahīñ hai

    ka.ī ujāle haiñ din meñ rahte ka.ī ujāle haiñ shab ke andar

    vo chāñd taare yahāñ nahīñ hai idhar jo hai vo udhar nahīñ hai

    kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai

    shajar bhi aise hain dekh rakkhe ki jis mein koi samar nahin hai

    sabhi nazare meri nazar mein ghubar ban kar simaT gae hain

    tujhe na aaya nazar to shayad nazar mein teri asar nahin hai

    ajib hogi hawa ki surat ghazab ki hogi hawa ki rangat

    tujhe bhi is ka pata nahin hai mujhe bhi is ki KHabar nahin hai

    wo aasman ka buland manzar ye farsh ki wusaton ko dekho

    yahan to sab kuchh bashar bashar hai wahan pe koi bashar nahin hai

    ye meri aankhen hain in mein dekho samundaron ki rawaniyan hain

    tu dekh sakta inhen musalsal junun tujh mein magar nahin hai

    falak ke upar hai chand raushan zamin par aaftab raushan

    falak ke upar shajar nahin hai zamin ke upar qamar nahin hai

    kai ujale hain din mein rahte kai ujale hain shab ke andar

    wo chand tare yahan nahin hai idhar jo hai wo udhar nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now