kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein

Zafar Ansari Zafar

kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein

Zafar Ansari Zafar

MORE BYZafar Ansari Zafar

  kabhī kisī ko jo dekhā kisī bāñhoñ meñ

  tujhī ko yaad kiyā dil ne sard aahoñ meñ

  isī ummīd pe duniyā ko ham ne chhoḌ diyā

  sukūn dil ko milegā tirī panāhoñ meñ

  bahut hasīn thā bachpan vo zamāna bhī

  koī hasīn kalī thī mirī nigāhoñ meñ

  kiyā thā ne bhī mujh se nibāh va.ada

  ye chāñd aur sitāre bhī haiñ gavāhoñ meñ

  bahut dinoñ se chhupā hai vo chāñd jaane kahāñ

  bahut dinoñ se añdherā hai dil rāhoñ meñ

  azāb-e-hijr na de ai ḳhudā-e-husn mujhe

  mirī vafā ko bhī shāmil na kar gunāhoñ meñ

  kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein

  tujhi ko yaad kiya dil ne sard aahon mein

  isi ummid pe duniya ko hum ne chhoD diya

  sukun dil ko milega teri panahon mein

  bahut hasin tha bachpan ka wo zamana bhi

  koi hasin kali thi meri nigahon mein

  kiya tha tu ne bhi mujh se nibah ka wada

  ye chand aur sitare bhi hain gawahon mein

  bahut dinon se chhupa hai wo chand jaane kahan

  bahut dinon se andhera hai dil ki rahon mein

  azab-e-hijr na de ai KHuda-e-husn mujhe

  meri wafa ko bhi shamil na kar gunahon mein

  Source :
  • Book : Mausam Badal Raha Hai (Pg. 86)
  • Author : Zafar Ansari Zafar
  • Publication : Educational Publishing House (2012)
  • Edition : 2012
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY