Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kisi ne jo dil dukhaya to dil ko samjha gai udasi

Tripurari

kabhi kisi ne jo dil dukhaya to dil ko samjha gai udasi

Tripurari

MORE BYTripurari

    kabhī kisī ne jo dil dukhāyā to dil ko samjhā ga.ī udāsī

    mohabbatoñ ke usuul saare hameñ bhī sikhlā ga.ī udāsī

    tumheñ jo sochā to mere dil se udāsiyoñ hujūm guzrā

    kabhī kabhī to huā hai yuuñ bhī ki be-sabab chhā ga.ī udāsī

    paḌī huī thī niDhāl ho kar hamārī āñkhoñ ke āñganoñ meñ

    kisī aahaT sunī to chauñkī zarā ghabrā ga.ī udāsī

    zarā duurī pe baiTh kar vo nigāh mujh se milā rahī thī

    jo apnī bāñhoñ meñ bhar liyā to adā se sharmā ga.ī udāsī

    vo daur bhī thā ki fāsloñ se guzar rahī thī nadī sūrat

    na jaane kis duā hai yāroñ ki mujh meñ bhī aa ga.ī udāsī

    na jaane kin pahluoñ meñ rah kar huī hai gahrī mirī udāsī

    na jaane kin kin laboñ se kar ye zindagī ga.ī udāsī

    milī thī jis din lagā thā yuuñ ke nahīñ banegī kabhī hamārī

    jo saath ham ne bitā.e kuchh din to ek din bhā ga.ī udāsī

    kabhi kisi ne jo dil dukhaya to dil ko samjha gai udasi

    mohabbaton ke usul sare hamein bhi sikhla gai udasi

    tumhein jo socha to mere dil se udasiyon ka hujum guzra

    kabhi kabhi to hua hai yun bhi ki be-sabab chha gai udasi

    paDi hui thi niDhaal ho kar hamari aankhon ke aanganon mein

    kisi ki aahaT suni to chaunki zara si ghabra gai udasi

    zara si duri pe baiTh kar wo nigah mujh se mila rahi thi

    jo apni banhon mein bhar liya to ada se sharma gai udasi

    wo daur bhi tha ki faslon se guzar rahi thi nadi ki surat

    na jaane kis ki dua hai yaron ki mujh mein bhi aa gai udasi

    na jaane kin pahluon mein rah kar hui hai gahri meri udasi

    na jaane kin kin labon se pi kar ye zindagi pa gai udasi

    mili thi jis din laga tha yun ke nahin banegi kabhi hamari

    jo sath hum ne bitae kuchh din to ek din bha gai udasi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now