Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kisi se na humne koi gila rakkha

Irfan Sattar

kabhi kisi se na humne koi gila rakkha

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    kabhī kisī se na ham ne koī gila rakkhā

    hazār zaḳhm sahe aur dil baḌā rakkhā

    charāġh yuuñ to sar-e-tāq-e-dil ka.ī the magar

    tumhārī lau ko hamesha zarā judā rakkhā

    ḳhirad se pūchhā junūñ mo.āmla kyā hai

    junūñ ke aage ḳhirad mo.āmla rakkhā

    ḳhayāl ruuh ke ārām se haTāyā nahīñ

    jo ḳhaak thā so use ḳhaak meñ milā rakkhā

    hazār shukr tirā ai mire ḳhudā-e-junūñ

    ki mujh ko rāh-e-ḳhirad se gurez-pā rakkhā

    chhapā huā nahīñ tujh se dil-e-tabāh haal

    ye kam nahīñ ki tire rañj ko bachā rakkhā

    vo ek zulf ki lipTī rahī rag-e-jāñ se

    vo ik nazar ki hameñ jis ne mubtalā rakkhā

    bas ek aan meñ guzrā maiñ kis taġhayyur se

    kisī ne sar pe tavajjoh se haath kyā rakkhā

    sunā.ī apnī kahānī baḌe salīqe se

    kahīñ kahīñ pe fasāne meñ vāqi.a rakkhā

    sunā jo shor ki vo shīsha-gar kamāl hai

    to ham lapak ke ga.e aur qalb rakkhā

    maiñ jāntā thā ki duniyā jo hai vo hai nahīñ

    so ḳhud ko ḳhvāhish-e-duniyā se māvarā rakkhā

    mire junūñ ne kiye radd vajūd aur adam

    alag tarah se hone silsila rakkhā

    ḳhushī kis ne hamesha malāl meñ rakkhī

    ḳhushī meñ kis ne hamesha malāl rakkhā

    kabhī na hone diyā tāq-e-dil ko be-raunaq

    charāġh ek bujhā aur dūsrā rakkhā

    nigāh-dār mirā thā mire sivā na koī

    so apnī zaat pe pahrā bahut kaḌā rakkhā

    paas thā to rahe mahv dekhne meñ tujhe

    visāl ko bhī tire hijr par uThā rakkhā

    tirā jamāl to tujh par kabhī khulegā nahīñ

    hamāre ba.ad batā aa.ine meñ kyā rakkhā

    har ek shab thā yahī tere ḳhush-gumān haal

    diyā bujhāyā nahīñ aur dar khulā rakkhā

    hamīñ pe faash kiye rāz-hā-e-harf-o-suḳhan

    to phir hameñ tamāshā kyuuñ banā rakkhā

    milā thā ek yahī dil hameñ bhī aap ko bhī

    so ham ne ishq rakhā aap ne ḳhudā rakkhā

    ḳhizāñ thī aur ḳhizāñ ḳhizāñ ḳhudā panāh

    tirā ḳhayāl thā jis ne harā-bharā rakkhā

    jo nā-gahāñ kabhī izn-e-safar huā 'irfān'

    to fikr kaisī ki sāmān hai bañdhā rakkhā

    kabhi kisi se na hum ne koi gila rakkha

    hazar zaKHm sahe aur dil baDa rakkha

    charagh yun to sar-e-taq-e-dil kai the magar

    tumhaari lau ko hamesha zara juda rakkha

    KHirad se puchha junun ka moamla kya hai

    junun ke aage KHirad ka moamla rakkha

    KHayal ruh ke aaram se haTaya nahin

    jo KHak tha so use KHak mein mila rakkha

    hazar shukr tera ai mere KHuda-e-junun

    ki mujh ko rah-e-KHirad se gurez-pa rakkha

    chhapa hua nahin tujh se dil-e-tabah ka haal

    ye kam nahin ki tere ranj ko bacha rakkha

    wo ek zulf ki lipTi rahi rag-e-jaan se

    wo ek nazar ki hamein jis ne mubtala rakkha

    bas ek aan mein guzra main kis taghayyur se

    kisi ne sar pe tawajjoh se hath kya rakkha

    sunai apni kahani baDe saliqe se

    kahin kahin pe fasane mein waqia rakkha

    suna jo shor ki wo shisha-gar kamal ka hai

    to hum lapak ke gae aur qalb ja rakkha

    main jaanta tha ki duniya jo hai wo hai hi nahin

    so KHud ko KHwahish-e-duniya se mawara rakkha

    mere junun ne kiye radd wajud aur adam

    alag hi tarah se hone ka silsila rakkha

    KHushi si kis ne hamesha malal mein rakkhi

    KHushi mein kis ne hamesha malal sa rakkha

    kabhi na hone diya taq-e-dil ko be-raunaq

    charagh ek bujha aur dusra rakkha

    nigah-dar mera tha mere siwa na koi

    so apni zat pe pahra bahut kaDa rakkha

    tu pas tha to rahe mahw dekhne mein tujhe

    visal ko bhi tere hijr par uTha rakkha

    tera jamal to tujh par kabhi khulega nahin

    hamare baad bata aaine mein kya rakkha

    har ek shab tha yahi tere KHush-guman ka haal

    diya bujhaya nahin aur dar khula rakkha

    hamin pe fash kiye raaz-ha-e-harf-o-suKHan

    to phir hamein hi tamasha sa kyun bana rakkha

    mila tha ek yahi dil hamein bhi aap ko bhi

    so hum ne ishq rakha aap ne KHuda rakkha

    KHizan thi aur KHizan si KHizan KHuda ki panah

    tera KHayal tha jis ne hara-bhara rakkha

    jo na-gahan kabhi izn-e-safar hua 'irfan'

    to fikr kaisi ki saman hai bandha rakkha

    Source:

    Takrar-e-imkaa.n (Pg. 82)

    • Author: Irfan Sattar
      • Edition: 2016
      • Publisher: Dehleez Publication
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now