kabhi lagta hai zarre ke barabar hai bisat apni
kabhī lagtā hai zarre ke barābar hai bisāt apnī
kabhī mahsūs hotā hai ki hai kul kā.enāt apnī
kabhī lagtā hai ham kaunain kī vus'at kā haiñ hissa
kabhī bas ek tan meñ hī simaT jaatī hai zaat apnī
kabhī lagtā hai mehnat se muqaddar hai badal saktā
kabhī lagtā hai ham laa.e haiñ qismat apne saath apnī
kabhī guzrā huā har pal ġhanīmat hai hameñ lagtā
kabhī lagtā hai zaayā kar rahe haiñ ham hayāt apnī
kabhī lagtā hai chain aa jā.egā jab maut aa.egī
kabhī lagtā hai mar kar bhī na ho shāyad najāt apnī
lage kyoñ Dar uqūbat kā bharosa hai agar ham ko
vahī hai dāvar-e-mahshar hai Dorī jis ke haath apnī
baḌe betāb haiñ juḌ kar bikhar kar chain leñ shāyad
banī hai jin anāsir ke 'sadā' milne se zaat apnī
kabhi lagta hai zarre ke barabar hai bisat apni
kabhi mahsus hota hai ki hai kul kaenat apni
kabhi lagta hai hum kaunain ki wus'at ka hain hissa
kabhi bas ek tan mein hi simaT jati hai zat apni
kabhi lagta hai mehnat se muqaddar hai badal sakta
kabhi lagta hai hum lae hain qismat apne sath apni
kabhi guzra hua har pal ghanimat hai hamein lagta
kabhi lagta hai zaya kar rahe hain hum hayat apni
kabhi lagta hai chain aa jaega jab maut aaegi
kabhi lagta hai mar kar bhi na ho shayad najat apni
lage kyon Dar uqubat ka bharosa hai agar hum ko
wahi hai dawar-e-mahshar hai Dori jis ke hath apni
baDe betab hain juD kar bikhar kar chain len shayad
bani hai jin anasir ke 'sada' milne se zat apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.