Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi main KHud se kabhi dusron se uljha hun

Talib Mahmud

kabhi main KHud se kabhi dusron se uljha hun

Talib Mahmud

MORE BYTalib Mahmud

    kabhī maiñ ḳhud se kabhī dūsroñ se uljhā huuñ

    tirī talab meñ har ik marhale se guzrā huuñ

    ḳhayāl tujh se bichhaḌne jab bhī aaya hai

    maiñ terī yaad se pahroñ lipaT ke royā huuñ

    tire alāva nazar meñ koī jachā nahīñ

    bichhaḌ ke tujh se maiñ har anjuman meñ tanhā huuñ

    payambarī hai da.avā na shā.erī pe ġhurūr

    hadīs-e-dard ġhazal zabāñ meñ kahtā huuñ

    na hai misl-e-zuleḳhā na misl-e-yūsuf maiñ

    nigāh bhar ke mujhe dekh le maiñ terā huuñ

    ḳhush-e'tiqād huuñ maiñ bhī use bhī ḳhush-fahmī

    na vo ḳhudā tarah hai na maiñ farishta huuñ

    kabhi main KHud se kabhi dusron se uljha hun

    teri talab mein har ek marhale se guzra hun

    KHayal tujh se bichhaDne ka jab bhi aaya hai

    main teri yaad se pahron lipaT ke roya hun

    tere alawa nazar mein koi jacha hi nahin

    bichhaD ke tujh se main har anjuman mein tanha hun

    payambari ka hai dawa na shaeri pe ghurur

    hadis-e-dard ghazal ki zaban mein kahta hun

    na tu hai misl-e-zuleKHa na misl-e-yusuf main

    nigah bhar ke mujhe dekh le main tera hun

    KHush-e'tiqad hun main bhi use bhi KHush-fahmi

    na wo KHuda ki tarah hai na main farishta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now