Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi main zikr karun din ki shadmani ka

Alam Khursheed

kabhi main zikr karun din ki shadmani ka

Alam Khursheed

MORE BYAlam Khursheed

    kabhī maiñ zikr karūñ din shādmānī

    fasāna ḳhatm to ho shab sargirānī

    simaT ke aa gayā qadmoñ meñ kis tarah sahrā

    sunā thā shor bahut us be-karānī

    ajab nahīñ ki na.e rāste nikal aa.eñ

    kisī ne rāsta rokā hai bahte paanī

    tamām ahl-e-zabāñ bātiloñ ke haq meñ haiñ

    mujhe malāl nahīñ apnī be-zabānī

    jo baat kahnī thī ab tak kahī nahīñ maiñ ne

    maiñ iḳhtitām karūñ kaise is kahānī

    ḳhudā samajhtā hai ḳhud ko yahāñ jo aatā hai

    ajiib haal hai 'ālam' sarā-e-fānī

    kabhi main zikr karun din ki shadmani ka

    fasana KHatm to ho shab ki sargirani ka

    simaT ke aa gaya qadmon mein kis tarah sahra

    suna tha shor bahut us ki be-karani ka

    ajab nahin ki nae raste nikal aaen

    kisi ne rasta roka hai bahte pani ka

    tamam ahl-e-zaban baatilon ke haq mein hain

    mujhe malal nahin apni be-zabani ka

    jo baat kahni thi ab tak kahi nahin main ne

    main iKHtitam karun kaise is kahani ka

    KHuda samajhta hai KHud ko yahan jo aata hai

    ajib haal hai 'alam' sara-e-fani ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now