Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi masjid kabhi mandir se uTha

Naeem Saba

kabhi masjid kabhi mandir se uTha

Naeem Saba

MORE BYNaeem Saba

    kabhī masjid kabhī mandir se uThā

    ik savālī thā tire dar se uThā

    jab bujhā dil meñ charāġh-e-ummīd

    ik dhuāñ mire andar se uThā

    chāñdnī rū-e-zamīñ par phailī

    shor tūfāñ samundar se uThā

    jab luTī apnī matā-e-hastī

    ek sho'la mire ghar se uThā

    vo bhī ik na.ara-e-mastāna thā

    jo mire sāya-e-paikar se uThā

    kis qayāmat ye añgḌā.ī hai

    nashsha bāda-o-sāġhar se uThā

    us paikar kabhī mānind-e-salīb

    mere har ḳhvāb ke mehvar se uThā

    dair meñ jab bhī uThā hai fitna

    sanad-e-ḳhair se shar se uThā

    merī pahchān hai mujh se qaa.em

    har-nafas apne mehvar se uThā

    maiñ jo ik sho.ala-navā shā'ir huuñ

    be-sadā bazm-e-suḳhanvar se uThā

    kabhi masjid kabhi mandir se uTha

    ek sawali tha tere dar se uTha

    jab bujha dil mein charagh-e-ummid

    ek dhuan sa mere andar se uTha

    chandni ru-e-zamin par phaili

    shor tufan ka samundar se uTha

    jab luTi apni mata-e-hasti

    ek sho'la sa mere ghar se uTha

    wo bhi ek nara-e-mastana tha

    jo mere saya-e-paikar se uTha

    kis qayamat ki ye angDai hai

    nashsha sa baada-o-saghar se uTha

    us ka paikar kabhi manind-e-salib

    mere har KHwab ke mehwar se uTha

    dair mein jab bhi uTha hai fitna

    sanad-e-KHair se ya shar se uTha

    meri pahchan hai mujh se qaem

    har-nafas apne hi mehwar se uTha

    main jo ek shoala-nawa sha'ir hun

    be-sada bazm-e-suKHanwar se uTha

    Source:

    Regzar-e-Dil-e-Tanha (Pg. 221)

    • Author: Naeem Saba
      • Publisher: Maktaba-e-Rahman
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now