Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi shuur kabhi dil kabhi suKHan mahke

Gauhar Usmani

kabhi shuur kabhi dil kabhi suKHan mahke

Gauhar Usmani

MORE BYGauhar Usmani

    kabhī shu'ūr kabhī dil kabhī suḳhan mahke

    kaho vo she'r ki duniya-e-fikr-o-fan mahke

    'atā hameñ bhī jo ho jaa.e 'mīr' andāz

    to lafz lafz se mā'nī pairahan mahke

    rahūñ ḳhamosh to phūloñ ko niiñd aa jaa.e

    paḌhūñ jo she'r to lafzoñ bāñkpan mahke

    larazte hoñToñ vo guftugū to yaad nahīñ

    bas itnā yaad hai barsoñ lab-o-dahan mahke

    dabī huī hai jo sadiyoñ se ġham chingārī

    bhaḌak uThe to ḳhayāloñ anjuman mahke

    kabhī to aisā zamāna bhī aa.e ai 'gauhar'

    mohabbatoñ fazā se mirā vatan mahke

    kabhi shu'ur kabhi dil kabhi suKHan mahke

    kaho wo she'r ki duniya-e-fikr-o-fan mahke

    'ata hamein bhi jo ho jae 'mir' ka andaz

    to lafz lafz se ma'ni ka pairahan mahke

    rahun KHamosh to phulon ko nind aa jae

    paDhun jo she'r to lafzon ka bankpan mahke

    larazte honTon ki wo guftugu to yaad nahin

    bas itna yaad hai barson lab-o-dahan mahke

    dabi hui hai jo sadiyon se gham ki chingari

    bhaDak uThe to KHayalon ki anjuman mahke

    kabhi to aisa zamana bhi aae ai 'gauhar'

    mohabbaton ki faza se mera watan mahke

    Source:

    Idraaq (Pg. 46)

    • Author: Gohar Usmani
      • Edition: 1993
      • Publisher: Gohar Usmani
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now