Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi surKHi se likhta hun kabhi kajal se likhta hun

Sardar Saleem

kabhi surKHi se likhta hun kabhi kajal se likhta hun

Sardar Saleem

MORE BYSardar Saleem

    kabhī surḳhī se likhtā huuñ kabhī kājal se likhtā huuñ

    maiñ dil baat jazboñ harī koñpal se likhtā huuñ

    maiñ terā naam jab likhtā huuñ apne dil taḳhtī par

    gulāb-o-mushk se zamzam se gañgā-jal se likhtā huuñ

    bujhā kar zahr se rakkhe haiñ yāroñ ne qalam apne

    magar maiñ to vahī kevḌe se aur sandal se likhtā huuñ

    ḳhushī dāstāñ banjar zamīnoñ hathelī par

    gulābī nuur barsāte hue bādal se likhtā huuñ

    'salīm' aatī hai jab sachchā.ī likhne mirī baarī

    fasīl-e-shahr par jaltī huī mash.al se likhtā huuñ

    kabhi surKHi se likhta hun kabhi kajal se likhta hun

    main dil ki baat jazbon ki hari konpal se likhta hun

    main tera nam jab likhta hun apne dil ki taKHti par

    gulab-o-mushk se zamzam se ganga-jal se likhta hun

    bujha kar zahr se rakkhe hain yaron ne qalam apne

    magar main to wahi kewDe se aur sandal se likhta hun

    KHushi ki dastan banjar zaminon ki hatheli par

    gulabi nur barsate hue baadal se likhta hun

    'salim' aati hai jab sachchai likhne ki meri bari

    fasil-e-shahr par jalti hui mashal se likhta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now