aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi tere KHat ko jala diya kabhi nam likh ke miTa diya

Salma Hijab

kabhi tere KHat ko jala diya kabhi nam likh ke miTa diya

Salma Hijab

MORE BYSalma Hijab

    kabhī tere ḳhat ko jalā diyā kabhī naam likh ke miTā diyā

    ye mirī anā savāl thā tujhe yaad kar ke bhulā diyā

    nayā aarzū mizāj hai na.e daur haiñ rifāqateñ

    tirī qurbatoñ jo zaḳhm thā tirī dūriyoñ ne miTā diyā

    mujhe hai ḳhabar tujhe ishq thā faqat apne aks-e-jamāl se

    ki maiñ gum huuñ tere vajūd meñ mujhe ā.īna banā diyā

    maiñ hisār meñ hisār meñ isī silsile ko davām hai

    kabhī maslahat ne judā kiyā to kabhī ġharaz ne milā diyā

    sabhī kah rahe haiñ ye barmalā jo guzar gayā vahī ḳhuub thā

    abhī ek pal jo hai aasrā use sab ne yūñhī gañvā diyā

    vo sharar ho ki charāġh ho hai tapish mizāj meñ ai 'hijāb'

    kabhī har nafas ko jalā diyā kabhī raushnī ko baḌhā diyā

    kabhi tere KHat ko jala diya kabhi nam likh ke miTa diya

    ye meri ana ka sawal tha tujhe yaad kar ke bhula diya

    naya aarzu ka mizaj hai nae daur ki hain rifaqaten

    teri qurbaton ka jo zaKHm tha teri duriyon ne miTa diya

    mujhe hai KHabar tujhe ishq tha faqat apne aks-e-jamal se

    ki main gum hun tere wajud mein mujhe aaina sa bana diya

    main hisar mein tu hisar mein isi silsile ko dawam hai

    kabhi maslahat ne juda kiya to kabhi gharaz ne mila diya

    sabhi kah rahe hain ye barmala jo guzar gaya wahi KHub tha

    abhi ek pal jo hai aasra use sab ne yunhi ganwa diya

    wo sharar ho ya ki charagh ho hai tapish mizaj mein ai 'hijab'

    kabhi har nafas ko jala diya kabhi raushni ko baDha diya

    Source:

    Dhanak (Pg. 36)

    • Author: Salma Hijab
      • Publisher: Salma Hijab
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now