Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye

Farzana Sabtain Farzi

kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye

Farzana Sabtain Farzi

MORE BYFarzana Sabtain Farzi

    kabhī to haq koī baat barmalā kahiye

    burā bure ko bhale ko sadā bhalā kahiye

    havā dekhiye ruḳh kaun kitnā badlā hai

    qusūr kis hai merā ki aap kahiye

    bayāñ farq hai varna vahī hai kaifiyyat

    bujhā bujhā na sahī dil jalā jalā kahiye

    tumhāre ba.ad na koī aarzū maiñ ne

    agar ho dekhā kabhī dil dar khulā kahiye

    koī kamī jo har moḌ par huī mahsūs

    jise na pur koī kar paayā vo ḳhalā kahiye

    hayāt-o-maut ke asrār kaun samjhā hai

    use azal se abad tak silsila kahiye

    hai lā-ilāj ye āzād ishq ai 'farzī'

    ilaaj is kisī se bhī kab huā kahiye

    kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye

    bura bure ko bhale ko sada bhala kahiye

    hawa ka dekhiye ruKH kaun kitna badla hai

    qusur kis ka hai mera ki aap ka kahiye

    bayan ka farq hai warna wahi hai kaifiyyat

    bujha bujha na sahi dil jala jala kahiye

    tumhaare baad na ki koi aarzu main ne

    agar ho dekha kabhi dil ka dar khula kahiye

    koi kami si jo har moD par hui mahsus

    jise na pur koi kar paya wo KHala kahiye

    hayat-o-maut ke asrar kaun samjha hai

    use azal se abad tak ka silsila kahiye

    hai la-ilaj ye aazad ishq ai 'farzi'

    ilaj is ka kisi se bhi kab hua kahiye

    Source:

    Zard Patte (Pg. 47)

    • Author: Farzana Sabtain Farzi
      • Publisher: Nihal Raza
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now