Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi to ishq mein aisi ghaDi bhi aati hai

Qaisar Azeez

kabhi to ishq mein aisi ghaDi bhi aati hai

Qaisar Azeez

MORE BYQaisar Azeez

    kabhī to ishq meñ aisī ghaḌī bhī aatī hai

    sukūn miltā hai ġham se ḳhushī rulātī hai

    ye kis maqām se āḳhir tujhe pukārtā huuñ

    mirī sadā mirī jānib lauT aatī hai

    junūñ ho aql-o-ḳhirad se hazār begāna

    tirī kashish to divāne ko khīñch laatī hai

    maiñ shahr chhoḌ ke sahrā meñ rahā huuñ suno

    kahāñ miTTī hai mujh ko kahāñ bulātī hai

    ai zindagī tujhe rahnā hai mere saath to phir

    nigāheñ chaar kar āñkhoñ ko kyoñ churātī hai

    tumhāre husn ma.asūmiyat are tauba

    ḳhudā shaan hai jo āqibat bachātī hai

    shahīd-e-nāz ne ḳhūn-e-jigar se ġhusl kiyā

    magar gulāb ḳhushbū kafan se aatī he

    kabhi to ishq mein aisi ghaDi bhi aati hai

    sukun milta hai gham se KHushi rulati hai

    ye kis maqam se aaKHir tujhe pukarta hun

    meri sada meri jaanib hi lauT aati hai

    junun ho aql-o-KHirad se hazar begana

    teri kashish to diwane ko khinch lati hai

    main shahr chhoD ke sahra mein ja raha hun suno

    kahan ki miTTi hai mujh ko kahan bulati hai

    ai zindagi tujhe rahna hai mere sath to phir

    nigahen chaar kar aankhon ko kyon churaati hai

    tumhaare husn ki masumiyat are tauba

    KHuda ki shan hai jo aaqibat bachati hai

    shahid-e-naz ne KHun-e-jigar se ghusl kiya

    magar gulab ki KHushbu kafan se aati he

    Source:

    Taameel-e-Aarzu (Pg. 140)

    • Author: Qaisar Azeez
      • Publisher: Irtiqa Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now