Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah

Prem Warbartani

kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    kabhī to khul ke baras abr-e-mehrbāñ tarah

    mirā vajūd hai jalte hue makāñ tarah

    bharī bahār siina hai zaḳhm zaḳhm magar

    sabā ne gaa.ī hai lorī shafīq maañ tarah

    vo kaun thā jo barahna badan chaTānoñ se

    lipaT gayā thā kabhī bahr-e-be-karāñ tarah

    sukūt-e-dil to jazīra hai barf lekin

    tirā ḳhulūs hai sūraj ke sā.ebāñ tarah

    maiñ ek ḳhvāb sahī aap amānat huuñ

    mujhe sambhāl ke rakhiyegā jism-o-jāñ tarah

    kabhī to soch ki vo shaḳhs kis qadar thā buland

    jo bichh gayā tire qadmoñ meñ āsmāñ tarah

    bulā rahā hai mujhe phir kisī badan basant

    guzar na jaa.e ye rut bhī kabhī ḳhizāñ tarah

    kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah

    mera wajud hai jalte hue makan ki tarah

    bhari bahaar ka sina hai zaKHm zaKHm magar

    saba ne gai hai lori shafiq man ki tarah

    wo kaun tha jo barahna badan chaTanon se

    lipaT gaya tha kabhi bahr-e-be-karan ki tarah

    sukut-e-dil to jazira hai barf ka lekin

    tera KHulus hai suraj ke saeban ki tarah

    main ek KHwab sahi aap ki amanat hun

    mujhe sambhaal ke rakhiyega jism-o-jaan ki tarah

    kabhi to soch ki wo shaKHs kis qadar tha buland

    jo bichh gaya tere qadmon mein aasman ki tarah

    bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant

    guzar na jae ye rut bhi kabhi KHizan ki tarah

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 131)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now