kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh
kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
MORE BYAkbar Ali Khan Arshi Zadah
kabhī zaḳhm zaḳhm nikhar ke dekh kabhī daaġh daaġh sañvar ke dekh
kabhī tū bhī TuuT mirī tarah kabhī reza reza bikhar ke dekh
sar-e-ḳhār se sar-e-sañg se jo hai merā jism lahū lahū
kabhī tū bhī to mire sañg-e-mīl kabhī rang mere safar ke dekh
isī khel se kabhī pā.egā tū gudāz-e-qalb kī ne.amateñ
kabhī ruuTh jā kabhī man ke dekh kabhī jiit jā kabhī har ke dekh
ye paḌī haiñ sadiyoñ se kis liye tire mere biich judā.iyāñ
kabhī apne ghar tū mujhe bulā kabhī rāste mire ghar ke dekh
tujhe aa.ine meñ na mil sakegā tirī adāoñ kā bāñkpan
agar apnā husn hai dekhnā to mirī ġhazal meñ utar ke dekh
vahī merā dard ravāñ-davāñ vahī terā husn javāñ javāñ
kabhī 'mīr'-o-'dard' ke bait paḌh kabhī she'r 'dāġh'-o-'jigar' ke dekh
kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh
kabhi tu bhi TuT meri tarah kabhi reza reza bikhar ke dekh
sar-e-KHar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu
kabhi tu bhi to mere sang-e-mil kabhi rang mere safar ke dekh
isi khel se kabhi paega tu gudaz-e-qalb ki neamaten
kabhi ruTh ja kabhi man ke dekh kabhi jit ja kabhi har ke dekh
ye paDi hain sadiyon se kis liye tere mere bich judaiyan
kabhi apne ghar tu mujhe bula kabhi raste mere ghar ke dekh
tujhe aaine mein na mil sakega teri adaon ka bankpan
agar apna husn hai dekhna to meri ghazal mein utar ke dekh
wahi mera dard rawan-dawan wahi tera husn jawan jawan
kabhi 'mir'-o-'dard' ke bait paDh kabhi she'r 'dagh'-o-'jigar' ke dekh
- Sukhan Mere Tumhare Darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.