kachche baKHiye ki tarah rishte udhaD jate hain
kachche baḳhiye kī tarah rishte udhaḌ jaate haiñ
log milte haiñ magar mil ke bichhaḌ jaate haiñ
yuuñ huā dūriyāñ kam karne lage the donoñ
roz chalne se to raste bhī ukhaḌ jaate haiñ
chhāñv meñ rakh ke hī puujā karo ye mom ke but
dhuup meñ achchhe bhale naqsh bigaḌ jaate haiñ
bhiiḌ se kaT ke na baiThā karo tanhā.ī meñ
be-ḳhayālī meñ ka.ī shahr ujaḌ jaate haiñ
kachche baKHiye ki tarah rishte udhaD jate hain
log milte hain magar mil ke bichhaD jate hain
yun hua duriyan kam karne lage the donon
roz chalne se to raste bhi ukhaD jate hain
chhanw mein rakh ke hi puja karo ye mom ke but
dhup mein achchhe bhale naqsh bigaD jate hain
bhiD se kaT ke na baiTha karo tanhai mein
be-KHayali mein kai shahr ujaD jate hain
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 169)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.