kachchi ninden kachche KHwab
kachchī nīñdeñ kachche ḳhvāb
Tuut ga.e phir mere ḳhvāb
ik duuje kī āñkhoñ se
ham ne dekhe kitne ḳhvāb
mere hisse meñ aa.e
suunī āñkheñ suune ḳhvāb
āñkheñ sahmī sahmī haiñ
jab se TuuTe mere ḳhvāb
ḳhvāboñ meñ jab jiinā hai
kyoñ dekheñ phir chhoTe ḳhvāb
phir phūloñ kī rut aa.ī
phir āñkhoñ meñ mahke ḳhvāb
tā'bīroñ kī ḳhvāhish meñ
ho jaate haiñ būḌhe ḳhvāb
kachchi ninden kachche KHwab
Tut gae phir mere KHwab
ek duje ki aankhon se
hum ne dekhe kitne KHwab
mere hisse mein aae
suni aankhen sune KHwab
aankhen sahmi sahmi hain
jab se TuTe mere KHwab
KHwabon mein jab jina hai
kyon dekhen phir chhoTe KHwab
phir phulon ki rut aai
phir aankhon mein mahke KHwab
ta'biron ki KHwahish mein
ho jate hain buDhe KHwab
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 46)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.