Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaDe hain hijr ke lamhat us se kah dena

Shahbaz Khwaja

kaDe hain hijr ke lamhat us se kah dena

Shahbaz Khwaja

MORE BYShahbaz Khwaja

    kaḌe haiñ hijr ke lamhāt us se kah denā

    bikhar rahī hai mirī zaat us se kah denā

    havā-e-mausam-e-ġham us ke shahr jaa.e to

    mire dukhoñ koī baat us se kah denā

    ye vahshateñ ye udāsī ye ratjagoñ ke azaab

    usī haiñ ye ināyāt us se kah denā

    vo dil baazī jahāñ mujh se jītnā chāhe

    maiñ maan lūñgā vahīñ maat us se kah denā

    vafā raah meñ maiñ aaj bhī akelā huuñ

    koī nahīñ hai mire saath us se kah denā

    jahāñ pe adl zanjīr nasb hai 'shahbāz'

    vahīñ kaTe haiñ mire haat us se kah denā

    kaDe hain hijr ke lamhat us se kah dena

    bikhar rahi hai meri zat us se kah dena

    hawa-e-mausam-e-gham us ke shahr jae to

    mere dukhon ki koi baat us se kah dena

    ye wahshaten ye udasi ye ratjagon ke azab

    usi ki hain ye inayat us se kah dena

    wo dil ki bazi jahan mujh se jitna chahe

    main man lunga wahin mat us se kah dena

    wafa ki rah mein main aaj bhi akela hun

    koi nahin hai mere sath us se kah dena

    jahan pe adl ki zanjir nasb hai 'shahbaz'

    wahin kaTe hain mere hat us se kah dena

    Source:

    Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 347)

    • Author: Dr. Jawaz Jafri
      • Edition: 2011
      • Publisher: Kitab Saray, Lahore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now