kah ke pechida hamari zindagi
kah ke pechīda hamārī zindagī
aur phir aa kar sañvārī zindagī
ḳhvāb dekhe āsmānoñ ke magar
ek kamre meñ guzārī zindagī
Tuut kar girne lagī haiñ pattiyāñ
shāḳh se kis ne utārī zindagī
sar se ik saudā udhārī kā gayā
maut ke din jab utārī zindagī
pūchh mat kaise yahāñ tak aa.e ham
pūchh mat kaise guzārī zindagī
hādsoñ se kyā bacheñge ham 'vikal'
hādisa hai ḳhud hamārī zindagī
kah ke pechida hamari zindagi
aur phir aa kar sanwari zindagi
KHwab dekhe aasmanon ke magar
ek kamre mein guzari zindagi
Tut kar girne lagi hain pattiyan
shaKH se kis ne utari zindagi
sar se ek sauda udhaari ka gaya
maut ke din jab utari zindagi
puchh mat kaise yahan tak aae hum
puchh mat kaise guzari zindagi
hadson se kya bachenge hum 'wikal'
hadisa hai KHud hamari zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.