Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaha na kuchh bhi daba di gai meri aawaz

Khursheed Alig

kaha na kuchh bhi daba di gai meri aawaz

Khursheed Alig

MORE BYKhursheed Alig

    kahā na kuchh bhī dabā ga.ī mirī āvāz

    uḌā na thā ki shikasta hue par-e-parvāz

    ajiib qaid meñ dam hai ye kaisā jiinā hai

    ki zindagī huī jaatī hai maut ġhammāz

    taḌap taḌap ke sar-e-dār mar gayā koī

    hayāt kahiye ki marne hai ik andāz

    jigar soz mayassar nahīñ to kuchh bhī nahīñ

    jigar ke soz se sāz-e-hayāt bā-āvāz

    koī salīb pe kyā soch ke laTaktā hai

    masīh-e-vaqt se pūchhe zarā koī ye raaz

    firāq-e-yār meñ har lamha zindagī hai azaab

    darāz silsila-e-zīst hai bahut darāz

    ġham-e-hayāt ne shā.ir banā diyā 'ḳhurshīd'

    vagarna maiñ kahāñ aur shā.irī ye e.azāz

    kaha na kuchh bhi daba di gai meri aawaz

    uDa na tha ki shikasta hue par-e-parwaz

    ajib qaid mein dam hai ye kaisa jina hai

    ki zindagi hui jati hai maut ki ghammaz

    taDap taDap ke sar-e-dar mar gaya koi

    hayat kahiye ki marne hi ka hai ek andaz

    jigar ka soz mayassar nahin to kuchh bhi nahin

    jigar ke soz se saz-e-hayat ba-awaz

    koi salib pe kya soch ke laTakta hai

    masih-e-waqt se puchhe zara koi ye raaz

    firaq-e-yar mein har lamha zindagi hai azab

    daraaz silsila-e-zist hai bahut hi daraaz

    gham-e-hayat ne shair bana diya 'KHurshid'

    wagarna main kahan aur shairi ka ye eazaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now