Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaha tha humne tujhe to ai dil ki chah ki mai ko tu na pina

Nazeer Akbarabadi

kaha tha humne tujhe to ai dil ki chah ki mai ko tu na pina

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    kahā thā ham ne tujhe to ai dil ki chaah mai ko na piinā

    jo is ko kar aisā bahkā ki ham ko mushkil huā hai jiinā

    jo āñkheñ chanchal dekheñ ham ne to nok-e-mizhgāñ ne dil ko chedā

    nigah ne hosh-o-ḳhirad ko luuTā adā ne sabr-o-qarār chhīnā

    kahā jo ham ne ki aan lagiye hamāre siine se is dam ai jaañ

    to sun ke us ne hayā aisī ki aayā muñh par vahīñ pasīna

    kiyā hai ġhussa meñ haath kar mirā garebāñ jo TukḌe us ne

    phaTā rahnā hai ab to behtar nahīñ munāsib kuchh is ko siinā

    kahā thā ā.ūñgā do din meñ vale na aayā vo shoḳh ab tak

    ginā jo ham ne 'nazīr' dil meñ to us suḳhan ko huā mahīna

    kaha tha hum ne tujhe to ai dil ki chah ki mai ko tu na pina

    jo is ko pi kar tu aisa bahka ki hum ko mushkil hua hai jina

    jo aankhen chanchal ki dekhen hum ne to nok-e-mizhgan ne dil ko cheda

    nigah ne hosh-o-KHirad ko luTa ada ne sabr-o-qarar chhina

    kaha jo hum ne ki aan lagiye hamare sine se is dam ai jaan

    to sun ke us ne haya ki aisi ki aaya munh par wahin pasina

    kiya hai ghussa mein hath la kar mera gareban jo TukDe us ne

    phaTa hi rahna hai ab to behtar nahin munasib kuchh is ko sina

    kaha tha aaunga do hi din mein wale na aaya wo shoKH ab tak

    gina jo hum ne 'nazir' dil mein to us suKHan ko hua mahina

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 52(165))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now