Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na

Danish Aziz

kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na

Danish Aziz

MORE BYDanish Aziz

    kahā thā tum se na pyaar karnā vahī kiyā

    na lafz bunñā na sher kahnā vahī kiyā

    ye terā ḳhuuñ tak nichoḌ leñge kahā thā tujh se

    na surḳh phūloñ ke paas jaanā vahī kiyā

    kahā thā tohfe ḳhutūt saare chhupā ke rakhnā

    kahā thā sab ko na ye dikhānā vahī kiyā

    kahā thā chāhat se duur rahnā ye maar degī

    kahā thā dil na ek sunñā vahī kiyā

    parind tum par hañsā kareñge kahā thā tum se

    na tum daraḳhtoñ pe naam likhnā vahī kiyā

    ye TuuT jaa.eñ to saañs lenā muhāl Thahre

    kahā thā tum se na ḳhvāb bunñā vahī kiyā

    kahā thā bātoñ meñ tez hai vo sañbhal ke rahnā

    na us hargiz yaqīn karnā vahī kiyā naañ

    zahīn to ho magar zamāna-shanās kam ho

    tumheñ kahā thā na ishq karnā vahī kiyā

    luTā piTā hai fareb degā ḳhayāl karnā

    kabhī na 'dānish' baat sunñā vahī kiyā

    kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na

    na lafz bunna na sher kahna wahi kiya na

    ye tera KHun tak nichoD lenge kaha tha tujh se

    na surKH phulon ke pas jaana wahi kiya na

    kaha tha tohfe KHutut sare chhupa ke rakhna

    kaha tha sab ko na ye dikhana wahi kiya na

    kaha tha chahat se dur rahna ye mar degi

    kaha tha dil ki na ek sunna wahi kiya na

    parind tum par hansa karenge kaha tha tum se

    na tum daraKHton pe nam likhna wahi kiya na

    ye TuT jaen to sans lena muhaal Thahre

    kaha tha tum se na KHwab bunna wahi kiya na

    kaha tha baaton mein tez hai wo sanbhal ke rahna

    na us ka hargiz yaqin karna wahi kiya nan

    zahin to ho magar zamana-shanas kam ho

    tumhein kaha tha na ishq karna wahi kiya na

    luTa piTa hai fareb dega KHayal karna

    kabhi na 'danish' ki baat sunna wahi kiya na

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now