Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan nasib wo kaifiyyat-e-dawam abhi

Kaleem Aajiz

kahan nasib wo kaifiyyat-e-dawam abhi

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    kahāñ nasīb vo kaifiyyat-e-davām abhī

    ki mai-kashī hai ba-qaid-e-subū-o-jām abhī

    havās-o-hosh ko kahiye mirā salām abhī

    junūñ ko aql se lenā hai intiqām abhī

    na sakegī vahāñ tak nigāh-e-ām abhī

    mirā mazāq bahut hai buland-bām abhī

    kuchh aur lījiye dār-o-rasan se kaam abhī

    junūñ josh hai phailā huā tamām abhī

    ḳhushī kahāñ ki ḳhushī nahīñ maqām abhī

    na merī sub.h abhī hai na merī shaam abhī

    usī tarah se hai be-rabtī-e-kalām abhī

    fuġhāñ bhī aa.ī hai lab par to nā-tamām abhī

    hai ahl-e-hosh kuchh aur payām abhī

    magar mujhe to hai dīvāna-pan se kaam abhī

    jahāñ meñ aane ko aa.e to inqalāb bahut

    badal sakī na sahar se hamārī shaam abhī

    usī ko hāsil-e-umr-e-vafā banānā hai

    jo ik ḳhalish hai dil meñ barā.e naam abhī

    yahāñ to din ko bhī tārīkiyāñ barastī haiñ

    hamārī sub.h se achchhī hai un shaam abhī

    kahan nasib wo kaifiyyat-e-dawam abhi

    ki mai-kashi hai ba-qaid-e-subu-o-jam abhi

    hawas-o-hosh ko kahiye mera salam abhi

    junun ko aql se lena hai intiqam abhi

    na ja sakegi wahan tak nigah-e-am abhi

    mera mazaq bahut hai buland-baam abhi

    kuchh aur lijiye dar-o-rasan se kaam abhi

    junun ka josh hai phaila hua tamam abhi

    KHushi kahan ki KHushi ka nahin maqam abhi

    na meri subh abhi hai na meri sham abhi

    usi tarah se hai be-rabti-e-kalam abhi

    fughan bhi aai hai lab par to na-tamam abhi

    hai ahl-e-hosh ka kuchh aur hi payam abhi

    magar mujhe to hai diwana-pan se kaam abhi

    jahan mein aane ko aae to inqalab bahut

    badal saki na sahar se hamari sham abhi

    usi ko hasil-e-umr-e-wafa banana hai

    jo ek KHalish si hai dil mein barae nam abhi

    yahan to din ko bhi tarikiyan barasti hain

    hamari subh se achchhi hai un ki sham abhi

    Source:

    Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 136)

    • Author: padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
      • Edition: 1990
      • Publisher: Sunrise Plastic Works, Patna
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now