kahan se chala tha kahan aan nikla
kahāñ se chalā thā kahāñ aan niklā
pareshān aayā pareshān niklā
jise taḳht-e-dil par biThāyā thā maiñ ne
maiñ samjhā farishta vo insān niklā
dhaḌaktā thā mujh meñ so apnā maiñ samjhā
magar dil to merā hī mehmān niklā
safar ne bazāhir banāyā thā insāñ
magar maiñ haqīqat meñ haivān niklā
purānā thā dā'vā jise jānñe kā
vahī shaḳhs sadiyoñ kā anjān niklā
yatīmoñ ke sar par rakhā dast-e-shafqat
vo kāfir to achchhā musalmān niklā
kahan se chala tha kahan aan nikla
pareshan aaya pareshan nikla
jise taKHt-e-dil par biThaya tha main ne
main samjha farishta wo insan nikla
dhaDakta tha mujh mein so apna main samjha
magar dil to mera hi mehman nikla
safar ne bazahir banaya tha insan
magar main haqiqat mein haiwan nikla
purana tha da'wa jise jaanne ka
wahi shaKHs sadiyon ka anjaan nikla
yatimon ke sar par rakha dast-e-shafqat
wo kafir to achchha musalman nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.