Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange

Balraj Bakshi

kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange

Balraj Bakshi

MORE BYBalraj Bakshi

    kahāñ se manzar sameT laa.e nazar kahāñ se udhār māñge

    rivāyatoñ ko na maut aa.e to zindagī intishār māñge

    safar ye kaisī vus.ateñ haiñ ki rāsta hai na koī manzil

    thakan ehsās bhī na utre qadam qadam rahguzār māñge

    talāsh ke bāvajūd sach hai ki mere hisse meñ kuchh na aayā

    ki maiñ ne ḳhushiyāñ hazār DhūñDīñ ki dard maiñ ne hazār māñge

    agar vo denā chāhtā hai to manziloñ surāġh de de

    agar use māñgnā Thahre to rāstoñ ġhubār māñge

    kabhī achānak gher lete haiñ raah meñ nā-guzīr lamhe

    koī kahāñ tak panāh DhūñDe koī kahāñ tak farār māñge

    sazā.eñ tajvīz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai

    ki koī 'balrāj' apnī marzī se jiine iḳhtiyār māñge

    kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange

    riwayaton ko na maut aae to zindagi intishaar mange

    safar ki ye kaisi wusaten hain ki rasta hai na koi manzil

    thakan ka ehsas bhi na utre qadam qadam rahguzar mange

    talash ke bawajud sach hai ki mere hisse mein kuchh na aaya

    ki main ne KHushiyan hazar DhunDin ki dard main ne hazar mange

    agar wo dena hi chahta hai to manzilon ka suragh de de

    agar use mangna hi Thahre to raston ka ghubar mange

    kabhi achanak hi gher lete hain rah mein na-guzir lamhe

    koi kahan tak panah DhunDe koi kahan tak farar mange

    sazaen tajwiz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai

    ki koi 'balraj' apni marzi se jine ka iKHtiyar mange

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 620)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now