Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya

Basir Sultan Kazmi

kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya

Basir Sultan Kazmi

MORE BYBasir Sultan Kazmi

    kahāñ siyāsat-e-aġhyār ne halāk kiyā

    hameñ to apne afkār ne halāk kiyā

    kisī maut baa.is thī ḳhāna-vīrānī

    kisī ko raunaq-e-gulzār ne halāk kiyā

    kisī ke vāste phūloñ sej mūjib-e-marg

    kisī ko jāda-e-pur-ḳhār ne halāk kiyā

    kisī ko sho.ala-e-ḳhurshīd ne jilā Daalā

    kisī ko sāya-e-ashjār ne halāk kiyā

    savād-e-shām kisī ke liye payām-e-ajal

    kisī ko sub.h ke āsār ne halāk kiyā

    kisī jaan ga.ī dekh kar tirā jalva

    kisī ko hasrat-e-dīdār ne halāk kiyā

    koī shikār huā apnī hichkichāhaT

    kisī ko jur.at-e-iz.hār ne halāk kiyā

    kisī taḳhta bichhāyā nasīb-e-ḳhufta ne

    kisī ko tāla-e-bedār ne halāk kiyā

    vahī halākū ki jis ne kiye hazāroñ halāk

    use bhī vaqt yalġhār ne halāk kiyā

    kisī ko maar gayā us kam-suḳhan honā

    kisī ko kasrat-e-ash.ār ne halāk kiyā

    vahī ḳhasāra hai sab tarah hameñ darpesh

    hameñ bhī garmī-e-bāzār ne halāk kiyā

    kabhī tabāh hue mashvara na milne se

    kabhī navishta-e-dīvār ne halāk kiyā

    milī thī jis ke laboñ se na.ī hayāt hameñ

    usī shoḳhī-e-guftār ne halāk kiyā

    ḳhudā shukr ki pastī na ham ko kheñch sakī

    hameñ bulandī-e-me.ār ne halāk kiyā

    kahan siyasat-e-aghyar ne halak kiya

    hamein to apne hi afkar ne halak kiya

    kisi ki maut ka bais thi KHana-virani

    kisi ko raunaq-e-gulzar ne halak kiya

    kisi ke waste phulon ki sej mujib-e-marg

    kisi ko jada-e-pur-KHar ne halak kiya

    kisi ko shoala-e-KHurshid ne jila Dala

    kisi ko saya-e-ashjar ne halak kiya

    sawad-e-sham kisi ke liye payam-e-ajal

    kisi ko subh ke aasar ne halak kiya

    kisi ki jaan gai dekh kar tera jalwa

    kisi ko hasrat-e-didar ne halak kiya

    koi shikar hua apni hichkichahaT ka

    kisi ko jurat-e-izhaar ne halak kiya

    kisi ka taKHta bichhaya nasib-e-KHufta ne

    kisi ko tala-e-bedar ne halak kiya

    wahi halaku ki jis ne kiye hazaron halak

    use bhi waqt ki yalghaar ne halak kiya

    kisi ko mar gaya us ka kam-suKHan hona

    kisi ko kasrat-e-ashaar ne halak kiya

    wahi KHasara hai sab ki tarah hamein darpesh

    hamein bhi garmi-e-bazar ne halak kiya

    kabhi tabah hue mashwara na milne se

    kabhi nawishta-e-diwar ne halak kiya

    mili thi jis ke labon se nai hayat hamein

    usi ki shoKHi-e-guftar ne halak kiya

    KHuda ka shukr ki pasti na hum ko khench saki

    hamein bulandi-e-mear ne halak kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now