Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana

Anjum Khaleeq

kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana

Anjum Khaleeq

MORE BYAnjum Khaleeq

    kahāñ tak aur is duniyā se Darte chale jaanā

    bas ab ham se nahīñ hotā mukarte chale jaanā

    maiñ ab to shahr meñ is baat se pahchānā jaatā huuñ

    tumhārā zikr karnā aur karte chale jaanā

    yahāñ aañsū aañsū haiñ kahāñ tak ashk poñchhoge

    tum us bastī se guzro to guzarte chale jaanā

    mirī ḳhātir se ye ik zaḳhm jo miTTī ne khāyā hai

    zarā kuchh aur Thahro is ke bharte chale jaanā

    vafā-nā-āshnā logoñ se milnā bhī aziyyat hai

    hue aise to is dil se utarte chale jaanā

    kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana

    bas ab hum se nahin hota mukarte hi chale jaana

    main ab to shahr mein is baat se pahchana jata hun

    tumhaara zikr karna aur karte hi chale jaana

    yahan aansu hi aansu hain kahan tak ashk ponchhoge

    tum us basti se guzro to guzarte hi chale jaana

    meri KHatir se ye ek zaKHm jo miTTi ne khaya hai

    zara kuchh aur Thahro is ke bharte hi chale jaana

    wafa-na-ashna logon se milna bhi aziyyat hai

    hue aise to is dil se utarte hi chale jaana

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 355)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now