Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan ye chand raaton ka asar hai

Ruchi Darolia

kahan ye chand raaton ka asar hai

Ruchi Darolia

MORE BYRuchi Darolia

    kahāñ ye chand rātoñ asar hai

    zamāne par zamānoñ asar hai

    akele baiTh kar yuuñ muskurānā

    ye hāthoñ meñ kitāboñ asar hai

    mukammal ho rahā hai ishq merā

    irādoñ se vafāoñ asar hai

    mohabbat gūñjtī rahtī hai mujh meñ

    ye barsoñ ḳhalāoñ asar hai

    sifat jitnī bhī mujh ko hai atā vo

    tumhāre saath bātoñ asar hai

    jahāñ tak dekhtī huuñ tum tum ho

    tasavvur par sarāboñ asar hai

    parindoñ se sabā se ḳhushbuoñ se

    muta.assir huuñ ḳharāboñ asar hai

    achānak nīm-shab vo yaad aa.e

    numāyāñ do sitāroñ asar hai

    vasūq itnā savāloñ meñ hamāre

    tumhāre kuchh javāboñ asar hai

    kahan ye chand raaton ka asar hai

    zamane par zamanon ka asar hai

    akele baiTh kar yun muskurana

    ye hathon mein kitabon ka asar hai

    mukammal ho raha hai ishq mera

    iradon se wafaon ka asar hai

    mohabbat gunjti rahti hai mujh mein

    ye barson ki KHalaon ka asar hai

    sifat jitni bhi mujh ko hai ata wo

    tumhaare sath baaton ka asar hai

    jahan tak dekhti hun tum hi tum ho

    tasawwur par sarabon ka asar hai

    parindon se saba se KHushbuon se

    mutassir hun KHarabon ka asar hai

    achanak nim-shab wo yaad aae

    numayan do sitaron ka asar hai

    wasuq itna sawalon mein hamare

    tumhaare kuchh jawabon ka asar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now