Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani se nikalne mein zara si der lagti hai

Huzaifa Ashraf Aasmi

kahani se nikalne mein zara si der lagti hai

Huzaifa Ashraf Aasmi

MORE BYHuzaifa Ashraf Aasmi

    kahānī se nikalne meñ zarā der lagtī hai

    vafā dhuup Dhalne meñ zarā der lagtī hai

    ye dahshat hai din aisā zarā dil ko sa.mbhālo tum

    yahāñ din ke badalne meñ zarā der lagtī hai

    na jaane kab koī aañsū mirā dāman bhigo degā

    nigāhoñ ko chhalakne meñ zarā der lagtī hai

    kisī ḳhush-kalāmī par na mar miTnā mire yaaro

    yahāñ lahje badalne meñ zarā der lagtī hai

    'huzaifa' kab talak ḳhud ko nikhāroge sañvāroge

    sudhar kar phir bigaḌne meñ zarā der lagtī hai

    kahani se nikalne mein zara si der lagti hai

    wafa ki dhup Dhalne mein zara si der lagti hai

    ye dahshat ka hai din aisa zara dil ko sambhaalo tum

    yahan din ke badalne mein zara si der lagti hai

    na jaane kab koi aansu mera daman bhigo dega

    nigahon ko chhalakne mein zara si der lagti hai

    kisi ki KHush-kalami par na mar miTna mere yaro

    yahan lahje badalne mein zara si der lagti hai

    'huzaifa' kab talak KHud ko nikhaaroge sanwaroge

    sudhar kar phir bigaDne mein zara si der lagti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now