Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati

Farah iqbal

kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    kaheñ ham kyā kisī se dil vīrānī nahīñ jaatī

    hamārī zindagī bhī ham se pahchānī nahīñ jaatī

    ba-zāhir aisā lagtā hai sabhī haiñ mast duniyā meñ

    magar chehroñ se poshīda pareshānī nahīñ jaatī

    ravā-dārī chādar se kahāñ tak ḳhud ko Dhāpeñge

    ki is kam-zarf duniyā meñ to ye taanī nahīñ jaatī

    bahut samjhā liyā dil ko bichhaḌnā to muqaddar thā

    na jaane kyuuñ mire dil se pashemānī nahīñ jaatī

    bahut lāDlā Thahrā ye maanā dil hamārā hai

    magar ab is har ik baat to maanī nahīñ jaatī

    kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati

    hamari zindagi bhi hum se pahchani nahin jati

    ba-zahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya mein

    magar chehron se poshida pareshani nahin jati

    rawa-dari ki chadar se kahan tak KHud ko Dhapenge

    ki is kam-zarf duniya mein to ye tani nahin jati

    bahut samjha liya dil ko bichhaDna to muqaddar tha

    na jaane kyun mere dil se pashemani nahin jati

    bahut hi laDla Thahra ye mana dil hamara hai

    magar ab is ki har ek baat to mani nahin jati

    Source:

    Koi bhi rut ho (Pg. 27)

    • Author: Farah iqbal
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now